...

8 views

Papa........
Shayad kahin pe thi gum ek saam aankh lagi fir ,
Main jagi khud mein band aankhon se ek ajab si duniya dikhi phir,
Sukoon ki talash mein udti rakh si umra lagi phir ,
Mohmaya ki bakwas mein khwahishe bejan si lagi phir,
Jaane kya kami thi kuchh talash mein lagi phir
Kuchh khoya to nahin kuchh naraj si lagi phir ,
Na hi koi ladakpan hai na ye raah ajeeb si ,
Kuchh soch aage badhe kadam kuchh aahat si lagi phir ,
Kuchh muskurati ,chham-chham karti khilti thi ,
Aankhon mein tej bharti thi fir ,
Niswarth, neele kamlon pe mohak nritya se,
Surya ki lakhon kirno ka nupuro mein shor karti thi fir,
Ek ankaha sambhal , Vishwas ki neev
Fir Jhoom-jhoom rang Bharti thi adhir,
Tha alokik drishya sammukh Ishwariya tej chhaya ,
Ek nanhi si pari ne kisko papa keh bulaya ,
Kis goad mein fudak rahi thi
Use kisne chalna sikhaya ,
Kiski muskan bani vo
Aankhon mein kisne sajaya ,
Kisne soolon ki chhote seh
Phoolon sa use sajaya ,
Kisne har mushkil apna kar
Uska astitva banaya ,
Aadhar mila use kiska
Kisne use apnaya,
Kitni bar lagi thokar
Kitnon ne unhe giraya ,
Bhavuk , vyakul, nam aankhon se bhi apna dharm nibhaya ,

Baarish ban sincha phoolon ko kabhi bijali bhi kadkai ,
Bus ek lakshya pe date rahe de beez ko vriksha banaye,
Bachpan ki kitni yaden
kuchh masti kuchh fariyade hain,
Kai bar yahan rukhe man hai ,
hai khwabo ke kyi dal bhi ,
Ye mera hi to kal hai,
Khushi-gam ka meetha pal hai,
Jeevan to bas yehi pal hai,
Kal pe na kisi ka bal hai ,
Apni yadon mein khoi thi ,
Man- magn hoke soi thi ,
Aankh khuli to subah hui thi ,
Mummy gusse mein vahi khadi thi,
Per main khud mein hi hasti thi ,
Jeevan ki rahe badhati thi ,
Vo mere khwabon ki kashti thi ,
PAPA ke hantho sajti thi...



© saumya