...

4 views

Barish
Ye jo baish hui hai ye aisi hui hai
Ki tan bhi hai bhiga, ye man bhi hai bhiga, yauvan bhi hai bhiga
Ki bhigi hain man ki wo sab kalpanayen
Ki jinke hain ankur abhi hi to phute
Ki bandhan sare hain man ke ye tute
🌧❤🌧

Ye barish hui hai alag si hai thodi
Ise dekhkar yun ye man kyun magan hai
Bhigati thi pahle ki ab ye sihran hai
Ki yauvan ka isne naya rag chheda
Naye pushp pallav ne man ko hai ghera
🌧❤🌧

Ye barish hui hai kiya isne vyakul
Ki milne kisi ko ye dil kyun hai akul
Ki jaise lage kalpanao k par hain
Ye khwabon k manjar idhar hain, udhar hain
🌧❤🌧

Ki khwabon me shayad koi apsara hai
Koi nazneen hai jo utari dhara hai
Ki chhu lun ise main, ki pa lun ise main,
Ki bhigu main sang sang karun dil ki baten
Ki man aisi baton se meri ghira hai
Ki khwabon me shayad koi apsara hai
🌧❤🌧

Ye barish na pahle thi itni batuni
Na jane ye ab kyun bani SHAYARA hai
Lubhati hai na jane ye man ko kyun mere
Na jane ye inti kyun bedayara hai
Ye barish hui hai ki aisi hui hai
Na pahle kabhi iske jaisi hui hai….
❤🌧❤

© navduniq