Fanaa
Kis raste chal padha hun, na mujhe pata na kisi ko khabar
Ek pal firdaus hai, aur ussi pal mai hai sab thehra, na jaane hai yeh kaisa qeher
Bechaini chupi hai iss do pal ki bahaar mai, na jaane kya dhund raha hun, hai yeh kaun si panah
Hun khud se judaa ya ghumshuda hai meri khudi, ab chehre pe chehra laga rakha hai, bas yehi hai mera gunaah
Taqdeer kya soch rahi hai, kis ko kya pata, ab har khayaal thehra hai isii maqaam par, nahi hai inn parchiyon ko koi sawera
Ab sukoon kahan hai, kahan hai ruuh ka basera, hua fanaa mere iss dil se saraa qaraar mera
© IllusionistForever