...

2 views

Dahez Pratha- Samaj ka kalank
Kya kisi insaan ko becha jaa skta hai?
Kya kisi ka jism khareeda ja skta hai?

Agar haan,
To tasawwur ye khokhla ho chuka hai tera ab,
Azmat-e-insaniyat ka qafan ban chuka hai tu ab,
Qamar jadid ke ghazir zulmat ko musabaqa se dafa kr diya hai tunee,
Holee holee hi ab naakis bana liya hai zehen ko apnee,

Lekin agar naa,
To aap insaniyat se hath mila chuke ho,
Aap khuda ke qalid ke aur kareeb aa chuke ho,
Aapko mai salaam thhokta hoon,
Aap haiwaniyat ke daur mein bhi insaaniyat ko apna chuke ho.

Aree abhi tak nhi smjhe mai kiski baat kr rha hoon,
Mai mudda aaj uthha rha hoon dahej ka,
Ye wahi riwaz, jisse har kisi ki ruh kaanp uthti h,
Beti ke paida hote, jiski wzh se, baap bhi darr jate hai thoda,
Jiski wzh se ab har maa baap bass paana chahte h ek chhora,

Aap khenge ab aisa nhi hota h jii,
Baapu hamare aisa nhi sochte h jii,
Pr mai daulatmando ki baat kr hi nhi rha,
Inke paas beshumaar paisa h, isliye hi rahee ye baha,

Mai baat kar rha hoon unn gareebon ki sabhi,
Jo 2 waqt ki roti naseeb na kr paate kbhi kbhi,
Jinki vilaadat hi badi roothhi hai unse,
Jinhe badan apna bhi mushkil hota h dhhakna kafan se,
Bo kaise kar payenge ye chaunchle,
Ye azeeb sa firqa ye to ek baar sochle,
Ek baap ko apni zindgi bhr ka zakheera dena hota h,
Hadd ho jati h jab bo kachhi raqam mang leta h,
Insaaniyat doob jati h jb bo na milne pr uske,
Ek baap ki vyahi beti ko hi chhod deta h,

Ye pratha badalni chahiye,
Mai nahi kehta bnd kr do,
Pr mai zor deta hoon uss baat pr k dena hi padega pr zor na do,
Dhyan rhe, dahej lekr tum 2 jism ko tod rahe ho,
Ek baap ka aur ek insaniyat ka.
© All Rights Reserved