...

0 views

Har cheez tumhari yaad dilati hai.
Mujhe aaj fir tumhari hi yaad aayi naa jaane kyu tumhe yaad kar meri aankhein aaj ek baar fir bhar aayi
Haa mujhe har cheez sirf tumhari yaad dilati hai jab jab dekhta hu mai kisiko har kisi me mujhe bus teri jhalak dikhati hai
Har cheez mujhe sirf tumhari yaad dilati hai jab jab soya karta hu mai khwaabon me bhi mere bus tu hi mujhe nazar aati hai
Haa mujhe har cheez me har jagah bus tu hi dikhai deti hai kaise kahun mai tujhse ki tere bina jindagi ye meri ab bilkul akeli ho chuki hai
Haa har cheez mujhe sirf tumhari yaad dilati hai naa jaane kyu teri tasveer dekh kar meri ye aankhein har baar mujhe teri muhabbat me aur jyada fana kar jaati hai
Haa har cheez mujhe tumhari yaad dilati hai naa jaane kyu khwaabon me aakar mere tu aaj bhi mere hi khwaab churati hai
Haa har cheez mujhe tumhari yaad dilati hai jab jab socha karta hu mai tujhe tu mujhe humesha mere qareeb hi nazar aati hai
Haa mujhe aaj fir tumhari hi yaad aayi naa jaane kyu tumhe yaad kar meri aankhein aaj fir bhar aayi....
© All Rights Reserved