โ๐๐๐๐ ๐๐๐๐๐ ๐๐๐๐๐๐๐๐ ๐๐ ๐๐๐๐๐๐โ
Is kavita ke dwara, kavi apni soch ko vyakt kartey huye yeh kehna chahta hai ki, zindagi ke har ek mod par, humein ek ajeeb sa manzar nazar aata hai jahan khushiyan aur dukh ek saath rehte hain. Har ek aansu aur dard ke peechhe, hum apne jazbaat ko sambhalne ki koshish karte hain, lekin yeh dard kabhi khatam nahi hota aur har pal ek nayi kahani sunata hai.
Dil ke aangan mein ek ajeeb sa manzar
nazar aata hai,
Har ek aansu mein doobi raat ka samandar
nazar aata hai.
Kaise sambhaloon dil ko, yeh jahan toh
shishe ka hain,
Har jagah, har dil mein patthar nazar aata hai.
Yeh sheher hai saazishon ka, sapno ki dhundhli hai raahen,
Aasman ka chaand bhi ab tanha nazar aata hain.
Jahan dhoondte the hum apni khushiyon ka kinaara,
Wahin har pal, ek dard ka safar, nazar aata hain.
Zakhmon ka hai yeh qissa, dil ki kahani bhi adhoori,
Har ek lamha, ek parchaayi ban kar sath hai chalti.
Kahan rakhoon is jazbaat ko, jo naazuk hai itna,
Dil ke is rastey par bas udasi nazar aati hain.
Chup hai yeh duniya, magar dil mein shor sa hai beparwah,
Khud se hi door ho kar, sab kuch bikhra
nazar aata hain.
Ek ajeeb sa manzar hai, jo samajh na aaye kabhi,
Jahan har apna, ek gair-sa nazar aata hain.
Dil ke kone mein, dard ka ehsaas...