...

10 views

A matter of consideration...
After every suicide our Society be like-

Kitna kamzoor tha
Khud ki hi jaan le li...
Arey kal tak to ye thik tha
Aaj aise kaise; shayad kisi ne murder kar di...
Kitna acha insaan tha na??
Rehta tha hamesha hansi khusi...
Arey aisa kiya pahad toot gaya
K apni jaan leni padi...
Acha jo Khudkushi karte hain;
Unhein kiya takleef nahi hoti???
Arey hame ek baar bola hota
Ye karne ki kiya zaroorat thi???

And many more gossips are going on and on...

Meanwhile the dead's answer-

Main kamzor nahi tha,
Pata hai khud ki jaan lena sab se mushkil tha..!!
Nahi me kabhi thik nahi tha,
Haan apne gham chupane k liye hansta- hansaata zaroor tha....
Kiya Murder?? Haan hua hai murder mera,
Tum logon ne kiya h murder mera...
Kaash meri zindagi me 1 baar kisi ne;
Ye ehsaas dilaya hota k me acha insaan tha...
Pahad??? Sab ki takleefein uske liye pahad jaisi hoti hain,
Ek baar use mehsus karke dekho...!!
Khudkushi me takleef to bahut hoti hai yaar,
Par kiya karta zindagi ki taklefein usse badi thi.!!
Ab aaye ho kehne me bola hota:
Kaash mujhe se kabhi tum logon ne puch liya hota...!!!

Yaar me to mar gaya;
Par aainda kisi ke marne ka intezaar mat karna
Uski zindagi me uss se puch ke
Uske gham baantne ki koshis karna please...
Ek baar usko tasaalli zaroor dena chahe jhooti hi kiun na ho...

Zindagi sab ko pyaari h bhai...mujhe bhi thi...khud ki jaan lene se pehle 1 baar khayal zaroor aaya tha k na karoon...par past samne aagaya ....maine khud ko be sahara paaya..khud ko akela paaya...aur jo kar sakta tha kar diya...
-Md Mojahid Reza