...

8 views

PITA ki ahmiyat....
ghar toh unse hi chata hai... agar woh na ho toh ghar ke har ek insaan toot jata hai... aur unke yeh jimedari unse accha koi aur nahi kar sakta... aur woh hamre zindagi k sabse khass insaan hote hai... aur woh hai hamare PITA....

woh ek aise insaan hote hai ki.. woh toh ek kapde ko jaise taise karke saalon chala lete hai... Par uske bacchon aur uske pariwar ko kabhi dukhi nahi rakhta.... woh ek pariwar k liye masboot hissa hota hai.. aur agar woh na ho toh sab kuch bigad jata hai....
Woh khud ko girwi rakh denge... Par unke ghar ki khushiyon ko nahi.... woh hamre ghar ko banane k liye ek ek sikka judate hai... woh hamre sikhsha ko masboot banate hai... woh haame zindagi mein ladna sikhate hai.. na ki... maidan chord kar bhagna... bhale ek maa har kuch sikha deti hai... Par ek PITA ki jimeidari ko kabhi nhi pura kar payegi.... aur usne yeh kar bhi liya toh thodi na thodi toh reh jayegi....
Apne PITA k sath kabhi do pal thik se bitaiye.... aur kabhi unke zindagi k kaathin lambha k bare mein puchiye ...tab ap logo ko jakar pata chalega ki woh apna jee jaan kyue lga dete ha hame khush rakhe mein....kyuki.. unhone woh zindagi dekhi hai... jismein.. unko itni acchi zindagi nahi mili jeene k liye...aur jab woh apne bacchon aur pariwar ko khush rakhna chahte hai toh veyy apne jee jaan zindagi dau Par lagakr kaise bhi apke chehre Par muskan le ayenge.. aur apko pata bhi nahi chalega.. unhone kitni chizze khoyi hai apki ek zidd pura karne k liye....
issilye.. jab apke pass itne acche pita hote hai... toh ap log unki ahmiyat ko janiye.. aur ap bhi unke budape mein unki issi tarah har manokamna ko pura kare.... kyueki hamre mata pita hi sarwa pratham bhagwan hote hai..