...

23 views

WAQT KI NAZAAKAT
Zaroorat nahi hai waqt nikal ne ki
Hame toh aadat si ho gai hai zindagi intezaar me hi bitane ki

Har roz subah suraj nikalta hai,
Aur intezaar bikharta hai,
Dopaher hote hi mujhe dundhe chalaata hai,
Haar sham ko suraj dhalta hai,
Magar intezaar ke yeh mehfooz panno ko apni kitabon se mitana muje ata hi nahi hai.

Woh kya hai na ki,
Hame toh aadat si ho gai hai zindagi intezaar me hi bitane ki....

Maan to karta hai ki logon ko taufae main waqt deti chalu,
Unka intezaar khatma karti chalu,
Nahi dekha jata kisi aur ko bistar par kuch waqt aur guzarte,
Bas yuhi kisi ka intezaar karte,
Din me toh bohot so liye aab waqt hai sukoon ki raat bitane ka,
Magar neend ko kese samjaye.

Kyuki,
Hame toh aadat si ho gai hai zindagi intezaar me hi bitane ki......

Bohot si ranjishein hai, bohot si...