...

9 views

"Duniya aur Musafir"🕊️🕊️
Lagta nhi dil mera is ujdi duniya mein,
itne rango se bhari ye duniya,
phir bhi rung pheka iska,
asal kahani, asal haqeeqat kuch aur is duniya ki,
har shaks apna kirdaar ada karta,
iske stage mein apna amal sajata,
har rung ko apney amal se dikhata,
phir yu safar karke ek musafir ki tarha,
chala jaata,
itne rungo se bhari,
ye chamakti duniya,
par haqeeqat iski,
ek musafir khaane ke jaisi,
kitni dair ka ye safar hai,
kon jaaney,
ye duniya ka musafir apni manzil ki oourh chalta jaraha hai,
phir khuda bhi iska hisaab sub,
jaama karta jaraha hai,
phir har amal ka nateeja,
har musafir ko milne wala hai,
Duniya ka musafir,
manzil iski khuda se khuda tak hai.
© Namrah writes🕊️