...

2 views

Bachpan ki Summer ki Yaadein
Wo bhi kya din the bachpan ke
Jab bhi ata tha garmi ka mausam
Hum sab chalte the Nani ke Ghar.
Wan hothi thi dher saari Masti aur
Wan milta tha dher saara pyaar.

Subah sawere chalte the Nana ke sath
Pakad kar unka hath.
Todte the pedh se Aam.

Nani hum sab ki karte the training
Kabhi kabhi lagta tha hum agaye hai boarding school.
Nani hamesha sikhate the hum sab ku manners.
Nana sunate the hum sab ku ache ache kahani.

Nani banwate the ache ache dishes
Sab se special hoti thi Mutton Biryani.
Nihari,Kofte,Kawab aur ache ache meethe.

Mummy Aunty milkar banate the Papad ,Murrabba aur Aam ka achaar.

Nana khareed kar laate the dher saare fruits aur aam.
Aunty deti thi hum sab ku bhitakar aam.

Daddy ke sath sab jakar laate the Juices,
Cool drinks aur Snacks.
Mummy sab ko banakar deti thi parcels.

Uncle aunty lekar jate the hum sab ko park.
Har Roz hum sab ghumne jate the
kabhi Cinema toh kabhi park.
Sab lekar ate the gubbare aur khilone.

Subah hote hi ate the awaaz
Doodh wala,Dahi wala,Ghee wala.
Sabji wala,Mauswala,
Idli Wada wala
Baari baari se ek ke baad ek Icecream,Kulfi,Baraf ka gola aur Soda wala

Sham hothe hi
Sab milkar khelte the games.
Ankh micholi,chupan chupai, Antakshari.
Kab waqt guzarta tha pata hi nahi.

Mummy Daddy Uncle Aunty aur
Nana Nani milke aangan me bhaitkar karte the baat.
Hum sab Bhai bahen karte the hasi mazak.

Na tha AC na the Inverters,
Jab power cut hotha tha hum sab banate the paper ke fan.

Aircooler aur fridge ke bottle me bharna rehta tha Pani,
Hum sab ki baari lagate the Nani.

Jab bhi wapas jana ka time aya sab ka rehta tha mood off.
Wapas Laut kar ane par milti thi dher saari pocket money.

Dost sacche the,rishte sacche the
Sab mil jhul kar raha karte the.
Na koi nafrat thi,Na koi pareshani thi.
Sab ek dusre se jude hue the.
Na tha Unch neech ka antar
Na tha koi bedh bhav

Wo bhi kya din the bachpan ke.
Kaash wo phir se Laut aaye.

© Asnawahab