...

3 views

Sharminda Mat Kar Zindagi
Aankhein milayi, dhool jhonke gaye
Gardan uthayi, sire se kaate gaye
Lalkaar di gayi, awaaz daboch di gayi
Halaq me sanse tak rok li gayi
Haath barhaye, haath kaat diye mere
Jism se noche hisse baant diye mere
Insaaniyat par haawi huwa haiwaniyat ka asar
Ajab imtehaan se guzra paimaana-e-sabar
Himmat jutaaye jo chale the door tak
Apni hi zaat me huwe majboor tak
Bil-aakhir badle apne mamlaat saare
Dekh kar undekha kiye fasadaat saare
Daanto'n se kaat di aap zibaa'n apni
Veeraniyo'n me giriftaar ki jaa'n apni
Me aakhir insaan hi, kamzor o be-haal
Kitno'n se larhta, kitne maah-o-saal
Haar gaya me, koi jeet saka hai?
Kon hai jo musalsal larha hai?
Zamana jo kar sakta tha karta gaya
Jo jo mukhalif tha bas marta gaya
Zulm ki aag me zalim ik me bhi
Shayd zameer ki malamat ye bhi
Kar sakne ko aur bhi the wassaail shayad
Faqt me na samjha woh marahil shayad
Aur tu puche hai, kya meri bandagi?
Sahil ko sharminda mat kar, aye zindagi...

© Ahmed Sahil