...

9 views

afsos nahi, par kaash!
Afsos un haatho ko thaamne ka nahi,
Par kash unhe kabhi chhodna na padta.

Aftos us tute dil ko jodne ka nahi,
Par kash usi ko phir se todna na padta.

Afsos tab jazbaat hone ka nahi,
Par kash aj woh ehsaas karna na padta.

Afsos sath hasne ya rone ka nahi,
Par kash aaj dukh bat-te hue sochna na padta.

Kehte hai jaha khushiya mile waha afsos nahi,
Par kash un khushiyon ko dhundhne, yaadon ka sahara na lene padta.

Afsos use chahne ka nahi,
Par kash usko chahne vale ka intazar na karna padta.

Afsos us mushkil faisle ka nahi,
Par kash aaj kandhe ki jagah dua se sahara na dena padta.
© All Rights Reserved