...

10 views

Ab saari mushkile haaregi....!!!💖
bhid hai bohot zindagi main...par...
iss bhid main koi apna nhi milta...
jise main sapna keh Saku ye bs ek sapna hi hai...
wo sapna kbhi nhi khilta...

.wqt hai ki sawarta nhi...
sapno ke bina din hai ki guzarta nhi....
kbhi kbhi mere dil mai ek baat aati hai...
or wo kahi ghoom si jati hai...

(ek din raat main so gyi...
leti toh kb se thi par nind ka pehra mere aankhoon par aane ka naam hi nhi le rahi thi)
#Aaise hi sawaloon main khoye....
puccha Maine khud se...
Kya ghum hai tuze????
Jo..hr raat pareshan krta hai....
Kya ek main hi hu jise ye Sab mehsoos hota hai....
why me???..... only me????
everytime?????....

Kya logo se u umid Krna...
apne hi haton se apna dil todna...
apne hi haton se apne jakhmoon pr Malhum lagana....

Andar hi andar khokli hu main...
Gamo ke Sagar main Dubati ..rengti hu main...
khuch bhi nhi hai mere pass phir Kya khone se darti hu main....
kis ke liye har pal har lamha ye aankhee Nam hai...
Jo zindagi main jee rahi hu Kya wo kisi swarg se. kam hai...

Jeene ke bahane hai bohot...
par......
jeene ka Sahara nhi....
har pal meri aankhe tuzhe mere dil main dhundti rahi...

ye kaisi kahani hai....
thodi si Romaani ...
thodi anjaani hai....
ye toh hai meri hi .....par....
main isse wakif nhi....

Aaj muzhe aahsaas hua hai ki...
dusroon ko samajhte samajhte khud ko hi samajhna bhul gyi.....
is bhid bhaari duniya main mai hi akeli reh gyi....

bs bohot hua ...
mere dil ne ye thani hai...
bs bohot.....kr li logo ne manmaani hai...
main Kya chizz hu duniya ko dikhana hai...
ek sundar sa khawab apne liye Sajana hai...

safalta ki sidiya ek ek krke chadna hai...
raahoo main aayegi mushkile kahi....
ab unnse na darna hai...
zindagi ki iss Jung main...
safalta par Mera pehra hoga...
.har pal hr lamha duniya main Mera chehra hoga....

bs ab Krna hai aasi taiyaari...
ki main padu sari duwidha pe bhaari....
Ab meri mehnat nhi meri kamiyaabi shoor kregi....
Ab saari mushkile mere samne aake haaregi....
-Janhvi Salunke💖