...

9 views

Bachpan.....
vo bachpan bhi kitna kmaal tha
hosh hwaas nhi thi dunia ki
zindgi me kya dhmaal tha.....
mmy ka vo dantna
papa ka vo sath dena
behen bhai ke sath takrar hona
vo bchpan bhi bda kmaal tha.....
ek din es ghr ko chor k jana hoga
apno ko praya kr jana hoga
ek ldki ko he kyu kisi or k liye
apni dunia chor kisi or ka ghr bsana hoga.....
vo bachpan kitna kmaal tha.....
aj sab suna sa lgta hai
apna ghar ansuna sa lgta hai
bda hona bhi ek sza hai
jb pta chlta hai ki hum hone bale alwida hai......
apno ko chorna dusro ko apnana
kisi or ke ghr ko apna bnana
sbki sunna kisi k samne na bol pana
glti na hone pr b khud ko sahi saabit na kar pana
vo bachpan kitna kmaal tha
hosh hwaas nhi thi dunia ki
zindagi me kya dhmaal tha.....
yahi hai ek ldki ki kahani
suno es ldki ki juwani
ek ldka kya smjh payega
apno se bichdne ka drd vo kbi nhi jaan payega
sunna to har kisi se pdega
ldki hai na shayd esliye ye drd b sehna pdega....
ab vo bachpan kbi bapis na aapayega
apni zindgi ko phr se na jiya jayega
ye thi ek ldki ki jubani
har drd ke baad bhi suljhati hai har ghr ki kahani.....








© diksha chauhan