...

4 views

Hrudaya Kamal me Shyam Birajo... 🙏
Tu kis baat se anjan he,
Jo tujhse me mangu...
Asi Kya drabya Mahan hai...
Jiske liye mangu,
Kya tu kisise aparchit hai...?

Har sambhadh ko,
Har muskil ko,
Har apne paraye Jan ko...
Sri Charno me Tere karke arpan...
Teri bani me Ooo Madhusudan...

Tum bin tumse Kuch nehi mangu,
Do asi mati he Priyatam,
Sansari ho ya,
Ho adhyatmic akarshan,
Sab niskriya ho,
Bas ho Tere Charnoki Smaran...

Nitya anitya sab me bishrun,
Ho Kuch tera asi manan,
Ho Kuch brithi budhi asi har dan...
Baso tum chitt me,
Ho tum hi karm aur Karan,
Mujhko mujhse milao Hari Tum...
De kar apni sandhan...

Khoj bhi tum ho,
Aur khyudha bhi tum,
Hey Narayan,
Pyas bhi tum aur
Sudha bhi tum...

Likhun toh tumko,
Tum bin mujhko,
Na mile aur koi Karan...

Meri har karm me baso Kuch ase,
Jese tum bin Nath koi kaam na ho Mohan...
Karo angikar Meri har doshko,
Ho Prabhu bas jese tumhari sumiran...

Na thaku me,
Na ruku me,
Na hi karun kisi aurki Bandan...
Na Chinta me na Chintan me,
Maya rupi tumhare kan kan me,
Na milun me asi kisi khyan se,
Jis me tum na ho meri Swash me...

Lab Jo khule,
Ho Naam tumhara Hari,
Tum bin na ho pehchan duji Meri...

©Shyam_Kripaki_Pyasi