...

2 views

PEHCHAN ZARURI HAI
Mana kaam mushkil hai thoda,
Magar, iss kaam ko maana zaruri hai,
Rasta iska kitna hi mushkil ku na ho,
Magar, Mera uss paar jana zaruri hai

Musibaten Kai aai hai, Kai aani hai aur baki,
Magar, Teherna to haar ki pehchan hai, aur
Jintne ke liye to, mera chlate jana zaruri hai

Dosti yaari aur sare rishte aazmaye hai,
Imtehan ki tyari me, kuch sath bhi aaye hai,
Magar, Is Jang ke liye to, samne mera aana zaruri hai

Sare Wade jo kiye hai maine apno se,
Wo Sari khushiyan, sare saude mere sapno se,
Sach kar sabko apni, pehchan banana bhi zaruri hai

© AQUIB Ashrafi