MUHABBAT
Muhabbat bhi kitna ajeeb jazba hai
Mukammal hota hai na khatam hota hai
Na qarar isko milta hai kahi'n kisi surat
Na pur-sukoon kisi ko rehne deta hai
Adhurapan apni takmeel to paa leta hai magar
Takmeel-e-Aap-khud adhurepan me behta hai
Ik ashk nahi sehta nigaaho'n me uske
Lekin asar apna to ashko'n se leta hai
Dil ko nahi'n deta araam zara bhi
Na-jaane kya kya ehsaasaat pirota hai
Palko'n se neend chheen kar bhi
Khuwaab hi khuwaab hi sanjota hai
Haqiqat lagta hi nahi'n muhabbat ka hona
Siwa Muhabbat magar kuch na sacha lagta hai
Muhabbat, hai kisi faqeer ki Bad-dua shayad
K zindagi me azaab ban kar rehta hai
Aur wasl hai bas ik afsaanwi manzar Sahil
Kisi ko dikhta hai na kisi ko milta hai...
© Ahmed Sahil
#Justwritten #Muhabbat