...

3 views

Ek Beej
ek beej..
ek beej dharti ki satah se
gehraiyon mein utarne ko
lagataar prayatnsheel...
prashn hai apne astitva ka

ek beej dheere dheere
dharti ki gahrai mein samata hua
prashn hain apni udan ka
in andheron mein baki rahne ka

ek beej himmat se mehnat se
nanhein nanhein patton sang
dharti ki satah par aa pahuncha
prashn hai unchai ko chhone ka

ek beej niranter sangharshmay
aandhi toofan badh sahta hua
vaqt ke sanche mein dhalta hua
prashn hai paudhe se vriksh ban jane ka

ek beej mausam ke utar chadhav dekhta hua
badh rha hai apne anubhavon se sikhta hua
prakrati mein khud ko isthapit karta
hua
prashn hai uske prayason ke phal aane ka

ek beej apne phalon se susajjit hota hua
jivan ke khush rangon se bharpoor hota hua
apne prayason aur tapasayaon ko saakar karta hua
prashan nahi prerna srot hua apne vishalkay vriksh hone ka
Noor e ishal
© All Rights Reserved