...

11 views

Rishton ka Molle- II
Jis din mene har jagah se apne aap ko hta liya ho,
Samgh jaana ki mughse ab rishton ka boj sambhala nhi jaa rha,
Iski wajah ye nhi ki me kamzor hu,
Iski wajah ye hai ki mene khud se zaada dusro per bharosa kiya,
Wafadaari aaj bhi iss dill me maujood hai,
Per nibhane ke liye jo logg hai wo bhadiye nikle,
Or har wafadaari ki ek pehchaan hoti hai ,
Jo waqt ke Saath khtm hogyi,
Sharam aati khud per,
Hum bewakoof logg kyu har rishta sachcha maan lete hai,
Chaal toh tumhari gir-git ki hoti hai,
Or hum use amrit waala vish samghker bina soche samghe pee jaate hai,
Agr rishtein sambhale nhi jaate toh nibhaane ka waada na kiya karo,
Itna dukh ye sunker nhi hota ka humara koi rishta nhi hai,
Jitna wahi rishtedaar khud peeth per khanjar maarker dukh pauhchata hai,
Khud hi ki supaari di thi mene uss rishtedaar ko,
Pta nhi tha mughe,
Puraani galtiyon ko sudhaarne ka waqt aayega,
Har rishtedaar ko uska hissa zarur miljayega,
Insaan wafadaar na hue toh kya hua,
Karama har ek ko ache se samghayega....

© SV