...

9 views

Aye Ibn-e-adam:
koi farishta nhi hai yaha aye ibne adam,
na koi pora mukammal hai is jahan mein koi,
khuda subka hisaab rakhta hai,
tera kaam hai bus us khuda se darte rehna,
usay mohabbat karna,
uske hukm ki tabey daari karna,
insaaniyat dil mein jaga zara,
Khuda ke khatir,
uski makhlooq say Ajizi ikhteyar kar zara,
agar koi dukh bhi miley,
tou maaf karke agay safar ko jaari rakh zara,
Aye Ibn-e-adam khuda ki makhlooq par meherbaan ho zara,
phir yu khuda tujh par meherbaan hoga.
© Queen writes