...

30 views

Kya Kasoor Tha
Suhaani si Zindagi thi use mili
Esi uski soch thi
Kitne mushkilo ke baad mili thi
Iski usse na Koi khabar thi
Rangeen thi uski Duniyaa
Jisme Ungeenat khwaab saje the
Chanchal sa ek Dil tha uska
Aur masoomiyat se bhari Muskaan thi
Is Rangeen Zindagi me achanak ek kalank lag Gaya
Uski to koi galati nahi thi
Fir bhi Zindagi berang sa ho Gaya
Jeethe jaagte hi usse mitti ke dher me Mila Diya
Agar dafnaya hota to bhi behtar hota
Par usse to yu haiwaano ne Zinda hi cheer Diya
Khoon se uski zamee rangi thi
Har maa-baap ke Dil ki dhadkan thami thi
Kuch keh na paayi thi vo us din, bas cheek cheek kar royi thi
Har koi khamosh Hogaya jab insaano ne hi insaaniyat khoyi thi
Raakh se khaakh ban Kar bhi uski cheek sunai degi
AAKHIR KYA KASOOR THA MERA, bas yehi ek goonj sunai degi.
#WritcoQuote #writcoapp #writco #rapevictims #rapeshame
Ye zamaana badal Gaya
Yaha insaano ne zyaada haiwaan bhar Gaye
Zameer nahi dekha unhone apna
Bas bekasoor ko bebas maar diye.

🙏🙏🙏RIP to all the victims of this brutality 🙏🙏🙏
© Shilpa Marakkath