...

15 views

MAA...
MAA... (मां)...

Bheetar tha jab
Tab tera sparsh hi samjh aaya tha
Ru-ba-ru hua duniya se
Saanson ko tohfe mein paya
Yun to dhadkan thi pehle se
Dhak Dhak pehle se hi karta aaya
Teri Godh mein aakar Maa
Maine khud Ko Sampurna paya...

Woh pehla rona mera zoro se
Kaash woh pehli Hasi teri dekh pata
Naadan hi tha main magar
Ehsaas ne mujhe sab samjhaya

Woh raaton ko uth jana tera
Meri halki si awaaz hi teri gehri neend uda jaati
Rota jab jab dudh ko
Tu hi Maa mujhe pyaar se pilati

Maalish gar na ki hoti tune
Woh nanhe kadam teri taraf kaise badhata
Teri mamta ne hi to sikhaya
Isliye mere hontho par Maa pehle aaya

To be continued...

-By Aezz Khan ( Azaan)
© Aezz खान...