...

8 views

Salgirah...
2014, 26 November,
3164, b- block,
C.P.verma villah,
Faridabad clock,
Suraj se phooti paheli kiran,
mitte sapno ka katl hua,
alarm clock ka naad badha,
Aarambh ab prachand hua,
sabki neendon me wish ghula,
ghar ki kaya hi palat gayi,
saalo me phir ye drisya dikha,
maloom hota koi baat badi,
koi idhar bhaagta udhar koi,
ghar me hariyaali chhayi hai,
baraat vijayi laut aayi hai,
baraatiyo ko badhai hai,
vyakul nain, chanchal pusp,
svet chandra ki dhara ,
maano aa bhikhri prangan me,
man ko harti savinay bala,
saundarya , susil sa-uchit uvti,
hua grehpravesh lakshmi charno ka,
Akshat kumkum phoolon ki thaal,
hua shankhnaad svarnim kirno ka,
Surya tilak aankhon mein chamak,
sang khade Raghu-ansh ardhang,
Mamta ki murat liye kalash,
man hi man harsaati thi,
Devi maa ke charno me,
vinti aviram dohraati thi,
apni chhaya chahi thi,
usse badkar hai Paya,
parivaar sada mera ek rhe,
maa kardo aisi maya,
saas nhi maa banpau,
Aisa bhagya jagana,
Bahu ka aashirwad nhi,
beti ka pyaar de jaana,
nav-vadhu ne bhaaf liya,
Maa ka vichlit man jhaak rha,
avsar achha jaana,
Dil se dil ko jo baandh rha,
hukum ka ikka fekka,
ab bahu ka danka baaj rha,
ye baat rhi kuch saalo ki,
ab to khushiyon ka raaj rha,
har gaanth kuli dil ek hue,
Pulkit sabke man dekh hue,
har salgirah ek kasauti hai,
kitne hi aap me dvesh hue,
Par date rahe jo raaho par,
deepon ki ladiyan unhe mili,
Thak haare jo Sangharsh bina hi,
raakh unhi ke naam mili......




© saumya