...

3 views

ye Delhi ki Ashanti hai
#खोईशहरकीशांति
ek bar ki baat hai apne seher ko chhodkr Mai aai ek naye seher me ,
apne khwabo ko ek udaan dene apne maa papa se bhut dur ,
yhi karib 24 hrs ki duri hai hmare bich,
phle to Aisa lga jaise kitni alag si duniya me aai hu,
magar jaise jaise waqt bitta gya ye smjh gyin ki alag duniya hoti nhi bnai jati hai,
Jo Shanti mere chhote se seher motihari me thi ,wo Shanti Delhi seher me kha mili,
yha to logo ke bich bjanayak bhagambhag ki zindagi dekhkr Mann ki sari Shanti gum hojati thi.
ab to aadat si ho gyi hai iss dekhi si Delhi ki galiyon or metro or Mangal bazar or sarojini bazar na jane kitne aise bazaron ki bheed bhad si zindagi me kho gyi hu mai to.
kv kv aisa lgta hai ek seher ki shanti ko chhodkr dusre seher me Shanti dhundna mushkil hi nhi namumkin sa hai.
waise to ab iss seher me 10 saal ho gye Hume but lgta hai jaise yhin ke hai hum.
Jo Shanti kho gyi hai iss seher ki use wapas lane ki koshish v nhi krta koi yha.

© raj rishu