Akhir Kaun Hu Mei, Kya Chahti?
Kabhi hasti hu to kabhi ansu rukne ka nam nhi...
kabhi galti karti to kabhi galtion ko apna leti...
Kabhi gusse se chillati aur kabhi hans ke ura deti...
Akhir kaun hu mei, kya chahti?
kabhi raat ka asman man ko khush karta,
Kabhi wahi andhera dil ko bhari lagta...
Kabhi subah ka ugta suraj dekhke sone jati...
Kabhi sham ka dubta suraj bhi tang karta...
Kabhi uss purane dairy ko padhne ka ehsas akele me hi sama leti...
Aur kabhi naye kahaniya likhne ka shokh hota...
Kabhi itne sapne dekhti, mano abhi bana lungi sach...
To Kabhi unhi sapno me khud ulajh jati...
Akhir kaun hu mei, kya chahti?
Kabhi kisi se itna ladti mano usko galat sabit karne ka inam milega...
To kabhi itna zyada chup ho jati, ki mujhe apni bhi na sunai deti.
Kabhi dil ek choti si bacchi man kar mouj me basa rehta...
To kabhi wahi dil, dusro ke dard ko mitane me laga rehta...
Akhir kaun hu mei, kya chahti?
Sare galat, Sare sahi, Sare sach, Sare jhuth
galtiyon ke par bhi mei...
Sach ki gehrai bhi mei...
Kaun hu mei? Akhir kya chahti?
~P@rn@