...

7 views

Khuda aur Mohabbat:
Har Mohabbat ke rang mein bus teri mohabbat ka rang dekhu ya Rabb,
har Mohabbat ke rang mein bus teri mohabbat ka rang dekhu ya Rabb,
har ishq-o-junoon mein teri chahat se rishta judo ya Rabb,
teri rahon ki dour kabhi toot na paaye,
teri rahon ki dour kabhi toot na paaye,
zindagi ki rahon mein bus teri rah dekhun ya Rabb,
ye zindagi ki dhalaan behti rahy tere ishq-o-suroor mein,
ye zindagi ki dhalaan behti rahy tere ishq-o-suroor mein,
behtey dariya mein bhi tera kinaara miley ya Rabb,

bikhar bhi jaon tujh par imaan hamesha qaim rahy,
bikhar bhi jaon tujh par imaan hamesha qaim rahy,
shaitan ke har waar se mujhko bachana Ya Rabb,

ye zindagi guzar jaye teri ataa'at mein,
ye zindagi guzar jaye teri ataa'at mein,

khud ko pehchan lu tou tujh ko pehchan lu,
ye marfat-e-haqiqi mujhko aata kar ya Rabb,

tu milgaya tou sub milgaya,
tu mil gaya tou sub milgaya,

ye zindaga ka asal maqsad pehchan lu ya Rabb,
Roze hashar,
apne Arsh ke saaye mein jagah dena Ya Rabb,
koi aisa maqaam de,
koi aisa maqaam de,
khuda aur mohabbat ka Alaa maqaam dena ya Rabb.
© Namrah writes