...

3 views

Karta Hoga
Bhale hi tumhare zenhen ne mujhe bhuladiya hai
Par tumhara wo dil ab bhi mera intezar to karta hoga

Din bhar bhale hi kitna bhi masroof kyu naho wo shaks
Par raat ke kuch lamhe wo meri yaad me barbad to karta hoga

Mujhe se kabhi na kabhi to mohabbat Hui hogi ushe
Mujhe se milne ko na sahi magar mujhe dekhne ko to ji karta hoga

Suna hai ki wo shaks tanha hai kai dino se
Doston ke saath kuch shame sahi or kuch shame mere saath guzar ne ka guman to karta hoga

Bhale hi uski nigahen har waqt mere takub me nahi
Par apni kuch palkhe wo meri yaad me bhigaya to karta hoga

Chand suraj dekh kar na sahi
Par badalon ko dekh mera khayal to karta hoga
© MayAp