...

12 views

Dew vs Sun
Mujhe baksh de main hun aab-e-fiza,
meri iltija meri faryad hai.

na kar mujhpe zalim tu apna ye zulm,
mera sabr hi meri pehchan hai.

Hasad kyun hai tujhko meri shaan par,
Meri zaat se kyun tu anjan hai.

Sahar ki main zulfon mein lipti hui,
Shab-e-roshni mein main behti hui.

Qamar meri ulfat ka gaata bas tan,
Faza mein, sitaron mein leta hai nam.
© mazidsagir