...

4 views

Meri Ankahi Daastaan...
Suna hai,sab kahte hai ki tum muskurate bahut ho, apne dil ki daastan chhupate bahut ho...
kya kahu mai ki muskuraana to bas ek bahaana hai,
Iraada to iss dil ko jhoothe muskurahat me fasaana hai...
kya karu chahre par gam ki surkhiyan laakar,
har koi jeeta hai yahan apne aansu chhupakar...
sukoon to bas inn aansuon me hi hota hai,
bwal ho jate hain kabhi kabhi bewajah muskurane par...
kis kadar cheekhta hai ye man mera, apne bheetar ki uss taqleef par,
maut ko bhi taras nahi aata uss bebas nacheej par...
Na jane kyu koi manzar mujhe raas nahi aata,
bekhabar hai Rahat ka ek shabd bhi ab mere pas nahi aata...
thak gya mai haar gya apni taqdeer padhte padhte,
dekh liya khud ko apne haq ke liye apno se ladte ladte...
Ab bacha hi kya bas zindagi hi to gujarni hai,
apni jeeti jagti tashveer ab panno par untarni hai...
© nainshi anand