...

4 views

Dadi meri kehti thi... ''Dusri Duniya ''
Dusri Duniya
Wahan ki dunia kaise hogi, kya apni dunia jaise hogi?
Kya Wahan bhi log milte honge, kya Wahan bhi khusi manate honge ?
Dadi Meri ye kahti thi, dada ki yaad satati hai
ish dunia se mann ubb gaya uss dunia main Abb jana hai, Tere dada se bhI milna hai, baaki logon se milna hai, gaon main Jitne sathi the, bachpan main Jinse ladte the,unse bhi abb to milna hai fir se gale lagana hai.
Dadi meri ye kehti thi Abb uss dunia main jana hai..
USS dunia ka khel nirala Wahan na milta gadi motor, fir bhi hawa se tej wahan Sab. Chahe Marji jahan tum jao, pal main duri ko ajmao.
Daadi Meri ye kahti thi Abb uss dunia main jana hai.
Ek jivan wahan bhi to jina hai, Fir wapas yahi pe aana hai, wahan ki dunia bahut sukhad hai, yahan ki dunia bahut kathin,
Wahan na chhota na Amir hai koi
Sabke pass sab kuchh apna
Yahan pe jo Meri halat hai wahan pe ja ke sudhre gi, yahan ka rog yahin rahega wahan nahin ja payega,
Wahan hawa se baate hongi karungi har din dunia ki shair,
Kya bharat Aur kya Amrika har pal naya basera hoga,
Uss Dunia ki kya paribhasa wahan na lagta koi visa.
Wahan na koi dhamka dhamki, na koi marne ka gam,
Wahan se yahan ka sab kuchh dikhata ,yahan ki dunia andhi hai.
Daadi mere ye kahti thi Abb uss dunia main jana hai...