...

8 views

कर पाओगे क्या ?
Agar shuru se shuru karu,
Mujhe apni aadat bana paoge kya?
Aawaz pasand hai tumhari,
Apni pasandida gaane suna paoge kya?
Kuch baat kehna hai tumse, thori der ruk paooge kya?
Apni hi baato me uljhi rehti hu,
kabhi unhe samajhkar suljha paoge kya?
Agar shuru se shuru karu,
Iss baar mohabbat ho jaygi kya?
Agar shuru se shuru karu,
Iss baar tum ruk jaaoge kya?
Gusse me kabhi tumhe chale jane ko bolu,
Toh chale jaoge kya?
Ruth jati hu choti baato par,
Tum har baar mana paoge kya?
Agar tumhare saamne rone lagi,
Jin baato ka mujhe dar hai usse yaad rakh paoge kya?
Agar shuru se shuru karu,
Mujhe ruthna hai tumse ;
Tum maanane aaoge kya?
Agar samhal na lu khudko,
To mujhe samhal paaoge kya?
Chalo maano shuru se shuru kar liya,
Tab bhi humari adhuri kahani puri kar paoge kya?
Ghav jo dil pe lagi hai,
Tum marham lagake unhe bhar paooge kya?
Agar mai paas aau tumhare,
Humari daraare bhar paoge kya?
Himmat karke apna tuta dil tumhare saamne rakhdu,
Toh firse isqh karke; Mera tuta dil jor paaoge kya?
Iss baar ek alag mulaqaat bhi ho gyi,
Toh mere sath jindagi bitaaoge kya?
Batao?
Kar paoge kya?