...

5 views

Prem me hak itna hota hi hai... ke naraj bhi Premi ho sake...
Karigar jisne likha kirdar sare,
Use kirdar me Mann chahta he,
Nehi samjh sakte ho tum,
Ye Mann Kya mangta hai...
Isko Bhatkane phir karigar wo,
Naye naye kirdaron ko apni rang de kar bhejta he...

Bahat hua Govind khel tumhari,
Abb naraj hogi Radha Brijse bhi,
Lo tumse hari...
Nahi ati agar laaj tumko Madhav,
Karwaneko bhakton ki ninda Murari...
Chod do hath pura dub hi janedo phir,
Agar nehi hak jata sakte apni nari par...
Karnedo uphas sari jag ko,
Dekh sakte ho agar kalank lagte apni Radha par...

Bikharnedo usko motio ki malasi...
Rehnedo khule uski kesh bhi...
agar tum apne hathon se sabar nehi sakte...

Jao jao tumko toh kaam bahat honge,
Use tutnedo tum kyun rokoge...

Ho kar tumhari jagse nata wo todi...
Tum use Todo ya abb sawaro Murari...

Abb Angan me duji wo na jayegi,
apni dukhda tum bin kisise na kahegi...

Palanhar agar haran nehi kar sakte...
Raha ke kanton ko hathonse apne,
chubhnedo... seh legi... sab naam se tumhare...

Tutnedo tum sare sapne...
Abb nehi ginegi jao tumko apne...

© Shyam_Kripaki_Pyasi