...

1 views

student
kab din dhale kab sham pata na chala,
man behlane ke liye kya karta ,woh bhi kya log batate bhala...
exams ke bojh se Sar phata ja raha tha...
raat bhar jaag ke bhi, kuch badal to nahi pa raha tha..

lage huye the tyaari mein sab,
mein bohot akela tha...
mehnat kar ke bhi kya fayda,
lakiro mein firse kyad ho jana tha.

sabko zyada dukh tabh hota hai jab apne gujar jate hai,
aur usse bhi zyada tab agar zinda rehte hi bichar jate jai ya to apne bhi apno se age nikal jate hai.

mehnat Kitna bhi karlo agar fal nahi Mila to nalayak aur nikambhe kehlaye jaoge..
khud ko Kitna bhi koslo, antme khud ko hi akela paoge.

chahe to roh Lena ekbar , lekin agr haar manli to kamjori ka dhabba lagne main der nahi lagega..
agar khud se muh chupaye fire to andar se tutne mein bhi der nahi lagega..

Sayad kisi kone mein pari hogi ye meri bateein, or sayad kisi ke nazar mein bhi na aye,
phirse kar raha hu bharosa aur ek bar,
galtiyo ko sudharneka mouka jo mila hai
aur khud se keh raha hu ki kar lega tu,
Isbar andhera bhi tujhe sayad Rok Na paye.


©Aniket