...

7 views

Maa
Ke ab koi tokne
Wala nahi hai ab
Koi rokne wala nahi
Hai ladta tha jise
Main ki mujhe yeh
Krna hai, yahan jana
Hai, vahan jana hai ab
Koi tokta nahi hai,
Aati nahi aawaz piche se
Ki Yeh mat kar vo mat kar
Yahna mat ja wahan mat jaa
Ab main girun bhi toh koi
Smbhalne wala nahi hai
Ho tez bhukar mujhe
Toh koi raat bhar jagne
Wala bhi nahi hai
Lagjaye nazar mujhe
Toh koi nazar utarne
Wala bhi nahi hai
Jaun koi aache kaam
Ke liye toh koi
Dhai shakar khilane
Wala bhi nahi hai
Hoon udas toh koi
Aisa Bhi nahi hai
Ki jise dekh sari thakan
Mitajye are ab toh hota hoon
Bhuka toh koi khana khilane
Wala bhi nahi hai.
Vo maa thi jise main
Dur rha ab bite pal yaad krta
Hoon are waqt rehte sambhal
Jao doston maa se jyda koi
Pyaar ni karta hai.