...

9 views

kya. gussa. jaayzz. hai ?
kahte hai jo pyar krte hai
wo gussa bhi karte hai
to kya gussa me beizzat karne
me wo fark nahi janta

halaki Pyar me gussa jayej hai
lekin gusse ke naam. pe kisi ko
jalil karna kya Pyar hai

agr gusse ke waqt ek agr jhuk Jay to
hmesha. uspe hi ungli uthao or usi ko jhukao
or kaho gussa ka karn tum ho

to kya pyar me gussa jayej hai
kahte hai ham jisse Pyar karte hai
usse. kbhi. hart nhi kar skte
pr gusse ke karn . kbhi uspr haath uthana
kya Pyar hai

gusse me logo ke samne uski respect na karna uski bolti band karna
or khud ko mahan samjhna.
kya ye gusse ki wajh hai

Pyar. ke jagh gum de baat baat pe gussa dikhaye
or har. galti ka. karn. bs use hi samjhe
ye gussa. hai. ya khunnas nikalne ka tarika

ha Pyar me gussa jayej hai
jab. wo maare tab. bhi uske sath maar khane ke liye taiyar. rahna
uski. har. galti maaf. kar bhul Jana

use. kbhi. galti sabit na kara pana
or apni har khawaish or ichcha ko maar kar. bhi uske. sath uske hisab se rahna

ye Pyar hai jis insan ko kbhi gussa nahi aaya. tumpe
gussa to bas . tumko aata hai
jisne khushi ke badle hmesha gum diya hmesha rulaya hai

ijjat ke bdle logo ke samne bejjat Kiya daat fatkar kiya

tumhari har. maar har tana sah kar bhi
tumhare sath. hasti hu
tumhe kbhi tumhare galti ka ehssas. nhi karaya

kyuki mujhe. gussa nahi. aata
aata bhi hai to apne Pyar pr utarna nhi aata

Pyar me 2 person hote hai
agr ek person gusse me hai to samne Wala. jhuk Jay
to use har baar jhukana apni uchi awaz se to kbhi gusse se ye kaha tak sahi hai

ek person jhuk rha h to kbhi tumbhi jhuk jao
gussa use bh i aaskta hai. pr wohi har baar jhuke ye baat kaha tak sahi h

har bar tumhari uchi awaz se dare
har bar bedhadk tumhare hath uth Jane pe dare roye
kab tak

pyar. me respect na Dena apne ahaam ko bnaye. rkhna h
use jarurt nhi kisi ki ye btana Galt h

rista. ek dhaage ki tarh hai
jise jitna. khicho wo tut jata hai
thik waise hi jaise ek. person samne wale ka gussa sahn kar kar ke tut jata hai

or wo fir kabhi Jud ni pata hai
isi liye kahte hai waqt rahte logo ki kadr karna sikh Jana chahiye
nhi to bahut der ho jati hai

fir. sirf. uska ehaam uska. ego bas
bachta. hai
pr. gussa utarne ko wo person paas nhi. hota