...

11 views

Mai ek naari hu!
Garv hai mujhe Mai ek naari hu,
khuli kitaab jaisi Mai saari hu,
Dil me kuch kar jaane ki aag hai,
Kya hua agar Teri wajah see mere muhh par ye daag hai,
Mai apne sapno see naa haari hu,
garv hai mujhe Mai ek naari hu,

wo gya daur,
jab ladkiyo ko samjha jaata tha kamzor,
aaj ek naari sab par bhaari hai,
uske sangharsh abhi jaari hai,
kisi or ki nahi Mai khud ki zimmedari hu,
Garv hai mujhe Mai ek naari hu,
Garv hai mujhe Mai ek naari hu!