...

1 views

Na Manne . ...
Aayen sheen maan gaye qaaf na maane -
Ishq kissi dusre se shagaf na manne -

Aaib hain zamane main toh aaib dar hai wo bhi -
Jo apne siwa kisi ko paak saaf na manne -

Aaj kal ko dekhta hai , kal Aaj ko dekhta hai -
Wo khuda ko kya manne jo uska insaaf na manne -

Adaab ye nehi kehta ke karo ibadat har aik ki -
Na ki toba toh khuda bhi shirk ko maaf na manne -

Aap apni baat karen aap hain kiske saath -
Mere dushman ko bhi mere khilaf na manne -

Koi baat rehi hogi jo betha hai khamosh ayar -
Ab jooth se nahi kare ga ikhtilaf na manne -

© AbrarAhmedAyar

Shukriya. ...