...

2 views

स्वतंत्रताकीआत्मा


Azaadi sabse bada uphaar hain jeene ke liye,jaise Roti ,kapda aur makaan zarori hota hain
waise azaadi zarori hain jeene ke liye
socho un parindo ko jo pinjare main kaid hain, woh uddna chahte hain,
aur hum unn pakshi ki azaadi ko.kaid karte hain,
unke par fadfate hain aur hum unki aatma ko tadpate hain

1 Socho un Logoo ke baare main jo chal nahin sakte,
dekh nahin sakte,bol nahin sakte, sun nahin sakte
chalne ki aazadi, bolne ki Azaadi, dekhne ki Azaadi, sunne ki Azaadi,,

Isilye humme sabse pehle bhagwan ka shukriya karna chahiye humme Swastha sharir diya,
Swastha sharir ki azaadi ka jashn manana chahiye.

2 Dusara humme sochne ki azaadi, gumne ki azaadi, bolne ki azzadi ,
aaj bhi kitne aurate hain jinhe sochne ki azaadi nahin milti, ghumne ki azaadi nahin milti,
baat karne ki azadi nahin milti,unko kaidi bankar rehna padta hain,
isilye shukriya kare apne mata ,pita ka ,parivar ka jinhone humme yeh mahool diya ,
shiksha di,soch di ,
Shukriya kare
Khuli soch wale parivar main humne janm liya
Acchi Education ki...