...

6 views

Mere hero mere papa 🥹😘
Aurr jab apne pita ko
Bistar pr pade bimaar
Dekha,mehshush kiya
Laga meri duniyaa ujad gyi
Shakt moti awaaz unki lekin
Ab dheme kamjor awaaz paayi

Ab duniyaa se kaun bachayega
Ya mai unko kaise bachau
Aakhir maine kabhi aisa
Kuch kyu ni kiya jis se
Unko khushi ho garv ho
Kitna pyaar krte hai mujhse
Aurr maine kabhi smjhaa nii

Ab to bada smjhdhar
Ban na padega
Kitni badi ho gyi hu
Ab tak kya kiya maine
Aisa kya karu du
jis se sab thik ho jaaye
Kya aisa kuch bhi ni
Jis se sab thik ho jaaye

Mai bada nii hona chahti
Mai bss yehi thamna chahti hu
Sayad aisa isliye kyuki
Mai badi hui to mere papa
Budhe kamjor honge
Mai unhe aisa nii dekh skti
Mere papa mere hero hai