...

5 views

Hindi ek Abhilasha
#HindiKeRang

Hindi ek bhasha nahi
ek bada pariwar hai
uttar se dhakhshin tak faili
bharat mata ka swabhimaan hai,
Shilp shaili me likhi gayi
avadhi,brajbhasha me boli jati.
anek shabdon ke utpati se
izzat shabdon me Bharti gayi.

Apne me khub mahan hain
Hindi bhasha lekhako ki Khaan hai
kavi,shayar,geet ,gazal isi k adhar par
chadhte gaye unnat ke path par.
Bhashan jo hindi me vakta de
Atal bihari Vajpayi ki yaad aa jaye.
Matra bhasha meri ek lauti hindi
jeevan ke saar ko madhur banati.

Chandra bindi bhi iski bolti hai
Aksharon ke taal mel se sajti hai
iski upastithi me bade mahan raja
nikhar kar aaye prem ke raag,
Dohe me chippe raaz jeevan ke
sant vidvan isko apnakar bane
Sabse Saral bhasha hindi hai
Samajh ati sabko hai