...

4 views

tanhai
tanhai ko bi
hum nai apna banaya hai
kabi is kadar
kabi us kadar
yeh jab bi rooth jaati thi
hum nai isko manaya hai
jab sai tanhayion nai hum
ko chalna sikhayaa hai
baikhobbi
hum nai zindagi ko jeena.
bataya hai
paloon mai dil laga kar
paloon mai tootay hoe
dekha hai
iss lie kabi is kadar
kabi us kadar
bhooltay hoe dekha hai
tanhai aik ehsaas
joo door samandur
aur doondla sa sagar pass hai
jab dil mai koi basta nahi
yeh zalam dil hasta nahi
aik aag si lagi rehti hai
ik jazbaat ki daaaraa
behti rehti hai
dil hi na jaanay
dil mai kya hoota hai
jab kehin door
koi roota hai
aankhon mai badal sama jaatay hain
jab un ki yaad mai hum gafal ho jaate hain
wo kya jaanay hamari kadar
hum to khud sai aanjaan ho jaatay hain
pyaar ik shabnam
ki tarah hai
joo haqeeqatan door ho jaata hai
udaas ho dil
gam zada ho dil
is koi chahie
yeh zaroori nahi
unki marzi hai
yeh unki majboori nahi
dil ki dua na banaoo
dil lag jaye to phir
agar na ho ijaazat
to batao na phir
© alone life