...

3 views

Asli rahat..
chilchilati garmi me pade thandak ki lehar,
perd ki chaw k niche barshe hawao ka kehar,
sukoon mile jab lehrati ghataye choo jae
saree chintaye isi wadiyo me jab kho jae

nahi de paye ye shanti ye sahuliyat dusra aur
prakiti se bada na vilasita dusra koi aur,

ye air conditioner ye cooler kare bs tan ko thanda
par vatawaran ko kare ye garam

isk lagane se pighalta bs glacier na hota khadooso k dil naram

perd lga k wo glacier ko bachaya ja skta hai
itni garmi ko badhne se roka ja skta hai

yahi hai asli rahat jo rhe hmesa sath..
baki to thoda samay k sukh hai, baki bekar bat...

chilchilati garmi me pade thandak ki lehar
perd ki chaw k niche barshe hawao ka kehar......

- Sneha Bhadra



© Sneha Bhadra