...

25 views

Dil or dimag ki jang,🤔
Dil aur dimag Ki Jung sadiyo Purani Hai ,
Dil Ne Bhi To Pyar Ke Liye Di Kai Kurbani Hai ,
dimag Ne Dil Ki kaha Kuch Mani Hai ,
Har Bar alag Karta Dil Se Pyar Ki Nishani Hai .
dimag ko Har Jagah Aajmaya Jata Hai ,
Par Dil Ko Kuch Khaas Jagah hi Kaam Mein Laya Jata Hai.
Pyar Dil Se Hota Hai dimag Inkar Karta Hai ,
fir Pyar Dil Ke Tukde Hazar Karta Hai .
dimag Sametta Hai an Tukdo ko fir se dil ko banata hai,
is bar dimag Dil Ko Pyar aur Dhokhe Mein Fark samjhata Hai.
Pata Nahin Kyon dimag Sab Jaanta Hai,
Sach aur Jhoot Mein Fark Ko pahchanta Hai,
Par Dil Kahan Kuchh dimag Ki Manta Hai .
Jab Dil tutata hai To Awaaz nahi aati per dimag use Awaaz ko Sun pata hai, un Tukdo ko Chun Chun kar Ek Naya Dil banata hai,
is bar Bana Dil Itna kamzor Nahi Hota vo Dhokha khakar majbut Ban gaya hota hai ,
vo Dhokhe ko acche se pahchanta hai,
vo ab Pyar or Dhokhe Mein frak ko acche se Jaanta hai.
Dil aur dimag ke is Khel Mein sab sapna Sa lag raha tha ,
koi apna Ho Kar Bhi Paraya to koi paraayaa hokar bhi apna Sa lag raha tha.
us Waqt Jab Dil Tut raha tha to dimag pachta bhi raha tha,
aisa lag raha tha ki yah sab Mujhe Sapne aur Hakikat Mein Fark Sa bata raha tha.
© ayushika swami😎