Ramzan
O musalmano jag jao tum sab
aya hai ba barkat mahina
Sb rkhein gay ab toh rozay
Ghlti sey bhi tum pani mt peena
Iftari key baad roz aigi awaz ab
Aik cup chai ka toh banado samina
kion rkhein hai exams is waqt tumne
Kion krtey ho mushkil hamara jina
Ashiqo khuda ka kro kuch khauf
Ab toh na bolo I love u ameena
Darzion hojao tyar ab tum sb
Eid key kpray tumhey hi hein sina
Shih rastay pr laut ao wapis
Aya hai ramzan ka mahina