...

1 views

Char din ki Duniya
Ye Char din ki duniya hai,
Fir laut kar jana hai.
Yahan hum akele aaye the ,
Aur wapas bhi hum akele hi Jana hai.
Na hum kuch sath laye the
Na hum kuch sath leke Jana hai.
Ye Izzat,Ye shohrat,
Ye Ghar,Ye Imaraten, Ye Mahal,
Ye Zameen,Ye Jaidaad,
Ye Malkiat,Ye Aashiyaane,
Ye sab mitthi ke bane hai,
Mitti me miljayenge.
Ye Darakht,Ye Pedh
Ye Patthe ,Ye phool
Ye bahar,Ye Chaman
Ye Phal,Ye Sabjiyan,
Ye phasal,Ye Anaj
Ye Jaanwar,Ye parinde
Ye Insan,Ye aulaad,
Ye rishte aur ye ristedaariyan.
Ye sab Raunak,Ye sab daulat
Ye Sab bhi chale jana hai
Yahan Utaar Chadao bhi ate hai
Khushi aur Gham bhi ate hai
Yahan hum bhi hai aur aap bhi hai
Yahan rishte aur naate bhi hai
Raat aur din bhi badalte hai
Mausam bhi badalte hai,
Ye char din ki Chandni hai
Fir Andheri raat hai.
Ye Char din ki duniya hai
Fir wapas laut kar jana hai.

© Asnawahab