...

6 views

โ€œ๐™†๐˜ผ๐™‚๐˜ผ๐™• ๐™‹๐˜ผ๐™ ๐˜ฝ๐™„๐™†๐™ƒ๐™๐™€ ๐™…๐˜ผ๐™•๐˜ฝ๐˜ผ๐˜ผ๐™โ€

๐™„๐™จ ๐™ ๐™–๐™ซ๐™ž๐™ฉ๐™– ๐™ ๐™š ๐™™๐™ฌ๐™–๐™ง๐™–, ๐™ ๐™–๐™ซ๐™ž ๐™–๐™ฅ๐™ฃ๐™ž ๐™จ๐™ค๐™˜๐™ ๐™ ๐™ค ๐™ซ๐™ฎ๐™–๐™ ๐™ฉ ๐™ ๐™–๐™ง๐™ฉ๐™š ๐™๐™ช๐™š ๐™ฎ๐™š๐™ ๐™ ๐™š๐™๐™ฉ๐™– ๐™๐™–๐™ž ๐™ ๐™ž ๐™ฌ๐™ค๐™ ๐™ก๐™ž๐™ ๐™๐™ฃ๐™š ๐™ ๐™š ๐™ฏ๐™–๐™ง๐™ž๐™ฎ๐™š ๐™–๐™ฅ๐™ฃ๐™š ๐™–๐™ฃ๐™™๐™–๐™ง ๐™˜๐™๐™๐™ช๐™ฅ๐™š ๐™™๐™–๐™ง๐™™ ๐™–๐™ช๐™ง ๐™ช๐™™๐™–๐™–๐™จ๐™ž ๐™ ๐™ค ๐™จ๐™–๐™ข๐™–๐™Ÿ๐™๐™ฃ๐™š ๐™–๐™ช๐™ง ๐™—๐™–๐™ฎ๐™–๐™–๐™ฃ ๐™ ๐™–๐™ง๐™ฃ๐™š ๐™ ๐™ž ๐™ ๐™ค๐™จ๐™๐™ž๐™จ๐™ ๐™ ๐™–๐™ง๐™ฉ๐™– ๐™๐™–๐™ž. ๐˜ผ๐™ก๐™›๐™–๐™–๐™ฏ, ๐™Ÿ๐™–๐™ž๐™จ๐™š ๐™–๐™–๐™ฃ๐™จ๐™ช, ๐™ ๐™–๐™œ๐™–๐™ฏ ๐™ฅ๐™–๐™ง ๐™œ๐™ž๐™ง๐™ฉ๐™š ๐™๐™–๐™ž๐™ฃ ๐™–๐™ช๐™ง ๐™ฌ๐™ค๐™ ๐™Ÿ๐™–๐™ฏ๐™—๐™–๐™–๐™ฉ ๐™–๐™ช๐™ง ๐™ฎ๐™–๐™–๐™™๐™ค๐™ฃ ๐™ ๐™ค ๐™จ๐™–๐™–๐™ฉ๐™ ๐™ก๐™š ๐™–๐™–๐™ฉ๐™š ๐™๐™–๐™ž๐™ฃ ๐™Ÿ๐™ค ๐™ ๐™–๐™—๐™๐™ž ๐™ข๐™ž๐™ฉ ๐™ฃ๐™–๐™๐™ž ๐™จ๐™–๐™ ๐™ฉ๐™š. ๐™†๐™–๐™ซ๐™ž ๐™จ๐™ž๐™ง๐™› ๐™ ๐™š๐™๐™ฃ๐™š ๐™ ๐™š ๐™ก๐™ž๐™ฎ๐™š ๐™ฃ๐™–๐™๐™ž ๐™ก๐™ž๐™ ๐™๐™ฉ๐™–, ๐™—๐™–๐™ก๐™ ๐™ž ๐™–๐™ฅ๐™ฃ๐™š ๐™™๐™–๐™ง๐™™ ๐™–๐™ช๐™ง ๐™ฉ๐™–๐™ฃ๐™๐™–๐™ž ๐™ ๐™ค ๐™จ๐™–๐™ข๐™–๐™Ÿ๐™๐™ฃ๐™š ๐™ ๐™š ๐™ก๐™ž๐™ฎ๐™š ๐™–๐™ช๐™ง ๐™ก๐™ž๐™ ๐™๐™ฃ๐™š ๐™ ๐™š ๐™ฅ๐™ง๐™ค๐™˜๐™š๐™จ๐™จ ๐™จ๐™š ๐™–๐™ฅ๐™ฃ๐™ž ๐™ง๐™ค๐™ค๐™ ๐™ ๐™ค ๐™จ๐™ช๐™ ๐™ค๐™ค๐™ฃ ๐™ฅ๐™–๐™–๐™ฃ๐™š ๐™ ๐™š ๐™ก๐™ž๐™ฎ๐™š ๐™ก๐™ž๐™ ๐™๐™ฉ๐™– ๐™๐™–๐™ž.


Main likhta nahi, kyunki mujhe kuch kehna hain,
Likhta hoon, kyunki dil mein ek gehra dard chhupa hain.
Yeh alfaaz, jo kagaz par bikhar jaate hain,
Woh aansu hain, jo palkein rok nahi paate hain.

Har lafz mein chuppi dard ki ek kahani hain,
Dil ke kone mein udaasi bohot purani hain.
Main kehna nahi chahta, bas likhta jaata hoon,
Mere rooh ki awaaz mein, bas yunhi behta jaata hoon.

Zindagi ke safar mein, aksar tanha ho jaata hoon,
Khwabon ke saaye mein, khud ko dhoondta reh jaata hoon.
Likhta hoon un lamhon ke liye, jo kabhi beet gaye,
Un yaadon ke liye, jo dil se kabhi na mit paaye.

Zakhm purane hain, par har pal taza lagte hain,
Guzra waqt, jaise nayi kahani likhne lagte hain.
Kuch lafzon mein jadoo hain, jo dard ko shabdon mein piro dete hain,
Main likhta hoon, kyunki dard ka saathi yeh kagaz hi toh rehta hain.

Jab zindagi ka bojh, sambhal nahi pata hoon,
Likhta hoon tab, jab apne aap se door chala jaata hoon.
Yeh alfaaz, sirf lafz nahi, meri rooh ka ek hissa hain,
Jo mere dard ko, bas yunhi samet-ta jaata hain.

Har lafz, ek aansu ki tarah beh jaata hain,
Mere dard ka darya, in kagazon mein sama jaata hain.
Main likhta hoon, kyunki kehne ko kuch nahi bacha hain,
Bas likhne se hi, yeh dil halka sa lagta hain.

Waqt guzarta hai, par dard kam nahi hota,
Har nayi kahani, purani yaadon ka hissa ban jaata.
Main likhta hoon, kyunki likhna meri zaroorat hain,
Yeh kagaz aur kalam, meri tanhai ka saathi hain.

Kehna chhod diya, ab bas likhta jaata hoon,
Zindagi se aur kuch nahi chahiye, yeh alfaaz meri parchaayi hain.
Har lafz mein ek chhupi kahani hain, jo dard ko ghazal banati hain,
Jis mein khud ko paata hoon, aur apni rooh ko sambhaalta hoon.


โ€œ๐™‡๐™ž๐™ ๐™๐™ฉ๐™– ๐™๐™ค๐™ค๐™ฃ, ๐™ ๐™ฎ๐™ช๐™ฃ๐™ ๐™ž ๐™™๐™–๐™ง๐™™ ๐™ ๐™– ๐™š๐™๐™จ๐™–๐™–๐™จ ๐™ฏ๐™ž๐™ฃ๐™™๐™– ๐™๐™–๐™ž,
๐™”๐™š๐™ ๐™–๐™ก๐™›๐™–๐™–๐™ฏ ๐™๐™ž ๐™ฉ๐™ค๐™ ๐™ข๐™š๐™ง๐™ž ๐™ฏ๐™ž๐™ฃ๐™™๐™–๐™œ๐™ž ๐™ ๐™– ๐™ฆ๐™ž๐™จ๐™จ๐™– ๐™๐™–๐™ž.โ€

- ส™ส สœแด€ส€แด…ษชแด‹ แดŠแด€ษชษด. ยฉ
ยฉ Hardik Jain