...

10 views

HAMARE PAPA....
Main girta tha, fir uthta tha fir uthke fir se chalta tha, fir na jane kitni bar gira , us samay koi sath tha hamare, wo the papa hmare ham the jiske sahare.....
kbi kisi kam ko tokna , kbi kisi glti ko rokna, karte the intzaar hmara jab khelne jate chobare, wo the papa hmare ham the jiske sahare.....
bde huhe to door hue, papa bde majboor hue, na chahte hue bhi rote rote, chhod ke aye hostle ke hote, bde dino ke baad milna hua gaware, wo the papa hmare ham the jiske sahare.....
fir kya waqt bhi bda, ham bhi bde, papa ka banke sahara apne peron pe hue khade, waqt ne palti khayi, ab ham to papa bane Or papa bachche hue, fir bhi papa hame sudhare, wo the papa hmare ham the jiske sahare.....
ek din esa bhi aya, papa ne hame khoob rulaya, chhod ke jana unka, ye man hmara na ubare, rote rote smjha jeevan ke dastoor ko , or manaya toote dil choor ko, ab na the papa hmare, bas jeevan unki yadon ke sahare.

YASHI AKASH
© All Rights Reserved