...

16 views

Maa - Baap
Chali hoon aaj kuch yaad karne
Khushkismat home ka Dhanyawaad karne
Shaam ka woh Samay tha
2005 mein 7 March ka woh Din tha

Aana that jaldi lekin aayi thodi der se
Nahi aati toh, toh aana padta cheer ke
Mahadev se sacchi Prarthana kare jo meri Maa
Toh kaise taalta Bhagwan unki Aradhana

Laaye jo mujhe is Duniya mein, main unka Dhanyawaad karu
Daatte-fatkarte toh use Aashirvaad maanu
Pata nahi kaise lekin karna jaroori hai
Inki Iccha puri karne ki aas mujhe bohot hai

Pagal hote hai log apne pehle Pyaar ke piche
Main bhi unme se hu, par mere Maa-Baap mere pehle Pyaar hai nikle
Galtiyan ki hai, maafiyan mili hai, galtiyan karungi, maafiyan milengi
Kyunki naaraz hi nahi reg sakte yeh apni nanhi-munni Bhoo (Bhoo is my nickname) se

Sar par se mere kabhi haath mat hatana aap
Dur kabhi mujhse aap mat hojana yaar
Is Janam mein aap mere Maa-Baap ho is baat ki Khushi mujhe sabse jyada hai
Har Janam mein aap mere Maa baap rahi aisi Iccha mujhe sabse jyada hai

@BlissBeyoutiful
© Bhoomish