...

2 views

Na Manaa karti ho, Na Maanti ho
Na Manaa karti ho, Na Maanti ho,
Bas mauke pe apne chuppi se mujhe Uljhati ho,
Haami bhi bharti ho phir Mukar bhi jaati ho,
Kahti ho "Mazaak tha yaar"aur baate taal jaati ho.
Lakire khich ke khud hi laang jaati,
Phir khud hi swaad anusaar lakire taan jaati.
Saare duniya ka haqk jataakar akela chod jaati,
Aise karke tumhe Sukoon kaise hai aati?
Agar kuch nahi beech haamre to kya matlab
Khatam karte hai naate ye saare bematlab
Jab na ant hai aur na shuruwaat iss kisse ka
To kyu hi bun rahe hai kahaani bematlab.
Na Manaa karne ki zarurat, Na maanne ki Uljhan,
Na ispe baate hongi na hogi koi ann bann.
Na koi Sawaal rahega na lagega Jawaab ka Pahra,
Na tumhe aur pakadna padega Lakiro ka Daaman.

© Sudeb